Eid aayee sab bohat khush hain ., ALLAH ki Rah mai qurban karny k lea rang barang janwaroun se bazaroun mai mandian bhari pari hain...her koie apni apni istitahat k mutabiq Qurabani karny ka soch raah hai..........aur yehi socha ja raha hai k wo log jo sara saal gosht ko tarasty hain unko b hissa mily ga k wo b apni zuban gosht k zaiaqy se tar kar sakein..
ham ne b hasbe-mamool her saal ki tarha qurbani k le hissa dala tha....sham ko jab gosht aya to 3 barabar hissoun mai taqseem kia ..aik rishtydarun ka hissa........doosra ghareeb ghuraba ka hissa......aur teesra hamsaoun ka hissa...
phir her aik ka hissa ehalada kar k shoppers mai dalny ki bari aa gayee...hamari kaam wali khala b aa gayee aur boli ...baji aap hissa bana k lifafy mai dalaien mai de kar aatee houn...
ham b masroof they so us ko hamsaoun ka gohst bantny ko bhej dia...socha k itny logon ko nahee janty yahan to bas kareeb kareeb k hamsaoun ko ghosht de dety hain so lifafy zaroorat se ziada bhar diye k acha hai kaam mai aa jaye ga aur jo zaroorat mand ghar k kareeb they unka hissa b taj bibi ko diya k ja kar de aao.........baki relatives ko khud hee bhugta lein gy.
masi bohat josh dikha rahee thee ....baji us ka b de dein ...falany ka b hissa de dein...us ki awaz josh se phatee ja rahee thee.api ne masi ka acha khasa hissa b elahda kr dia ..us ki beti ..bhai...betian..(ye sab log yahan gharoun mai kaam karty hain)
acha g kam khatam huwa ....chalo shukar hai...
3 din baad meri api sath walon ka hissa deny gayeen, k jo kaheen eid guzarny ko gaye they.
batoun batoun mai api ne kaha k" aapki bhabi ko ham ne gohst bijhwa dia tha eid k roz........wo anti heran hok bolien....kia !!!
bhabi to aaj hee wapis ayeen hain..unk ghar ko to tala tha........ajeeb baat hai masi ne khud aapki bhabi ka hissa dia hai eid waly din.api heran theen."
achanak masi itifaqan unk ghar aa gayee api ne us se pooocha "taj bibi...neechy walon ka hissa de dia tha na..........wo bohat josh se boli "haan haan baji mai khud de k aayee houn".
yakdam sath wali aunti ne kaha nahee to hamari bhabi to aaj hee ayee hain..
kia wo aapki bhabi hain...taj bibi ka rang urr gaya
haan wo meri bhabi hain..anti ne jawab dia"
api ne un baji k ghar kaam karny waly aik baba ka hissa b taj bibi k hath bhijwaya tha ,kyun k wo baba b taj bibi k sath waly quarter mai rehta tha...
jab us baba g se poocha gaya to us ne kaha nahe mujy to kuch nahee dia iss ne.......
ab to taj bibi k lea wahan khara ho dobhar ho gaya...
wo yakdam boli "wo wo mai ne inka hissa fridge mai rakha hai aaj de doungee ..ye ghar per nahee they na to iss lea,
kia mai to ghar per hee tha ..baba ne jawab dia..
ab to halaat mashkook se mashkook tar hoty ja rahy they..baad mai aik choti bachi ko sab k ghar bhijwaya k poochwaya k "aap sab ko hamary ghar ka gosht milla k nahee"...sab inkari ho gaye...
ab to herat k mary hamari zubanaien gung ho gayeen ..ye kia ho gaya...
ab kia kiya jaye...wo to shukar hai k rishtydaroun k haan ham khud hee chaly gaye they...werna to taj bibi ...........aaj wo kaam per b nahee ayee...
g ye thee kahani ..ab in logon per banda eitbar kary to kesy kary.....bakra eid pe taj bibi ne hamein bakra bana diya........
hansoun ya rououn .....samajh nahee aa rahee
Tuesday, December 1, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment